Resume Banane Ke Saral Tarike Ko Janne Se Pahle Hum Is Baat Par Gaur Karte
Hai Ki Social Media
Ne Recruitment Ko Badal Kar Rakh Diya Hai, Lekin Resume Ki Ahmiyat Ab Bhi
Barkrar Hai. Halanki Simit Padon Ke Liye Aane Wale Deron Resume Par Hiring
Managers Kam Samay (Lagbhag 30 Second Ek Resume Par) De Pate Hai. Ab Itne Kam
Samay Me Agar Koi Bhi Galti Recruiter Ko Najar Aati Hai To Ve Job Seeker
Candidate Ko Reject Kar Dete Hai.
Ese Me Yeh Jaruri Ho Jata Hai Aap Resume Me
Kam Se Kam Galtiya Karen aur Resume banana hai Taki Job Interview Lene Wale
Recruiters Aap Ko Naukri Dene Par Majbur Ho Jaye.
Aage Hum
Batane Ja Rahe Hai Ki Resume kaise Likhte hai and Resume Kin Kin Baton Ka
Dhyan Rakh Kar Aap Kaise Best Resume Bana Sakte Hai. You Can Follow These Steps
For How To Make Best Resume For Job.
Resume Banate Wakt Aapne Agar Spellings Ya Grammer Ki
Mistakes Ki Hai To Job Recruiter Samjhta Hai Ki Aapne Jaldbaji Me Resume Banaya
Hai. Isse Recruiter Aapki Ekagrata Concentration Ka Andaja Laga Sakta Hai. Jab Bhi
Resume Banaye, Khud Padhen Aur Dusron Ko Bhi Ek Baar Padhne Ko De Isse Jo
Galtiya Hui Hai Unme Correction Ho Payega.
2. Photograph
Har Job Profile Ke Liye Resume Me Photograph Lagana Jaruri
Nahi Hai. Vaise Bhi Ajkal Jyadatar Job Recruiter Job Seeker Candidate Ke Bare
Me Social Media Par Check Karte Hai Aur Saath Hi Adikansh Companies Skills,
Education, Aur Work Experience Ke Aadhar Par Hi Job Recruitment Karti Hai. Isliye
Job Resume Me Photograph Itna Ahmiyat Nahi Rakhti Hai.
3. Sabhi Jobs
Ka Jikar
Aksar Job Seeker Or Professonels Resume Me Apni Sabhi Jobs Ko
Mention Kar Dete Hai Jabki Career Ke Suruwati Dino Me Kuch Jobs Ese Hote Hai Jo
Unke Mojuda Profile Se Match Nahi Khate Hai. Ese Recruiter Aapka Resume Chhod
Kar Ese Resume Ki Talash Karta Hai Jinki Work History Unke Mojoda Profile Se
Match Hoti Hai.
4. Long Content
Agar Apka Resume Do Page Se Jyada Hai To Recruiter Use Nahi
Padhenge Kyoki Ek Job Post Ke Liye Bahit Sare Candidates Apply Karte Hai Ese Me
Harek Resume Par Samay De Pana Mushkil Hota Hai. Ese Me Agar Aap Kabil Bhi Hai
To Lambe Resume Content Ki Wajah Se Aapo Job Nahi Mil Payegi. Isliye Resume Ko
Kabhi Bhi Do Page Se Jyada Nahi Banana Chahiye. Koshish Karni Chahiye Ki Resume
Ko Short Me Impressive Language Use Kar Banaya Jaye Lon Content Na Ho.
5. Galat Tarikh
Resume Me Kisi Bhi Naukri Ki Joining Aur Relieving Dates Sahi
Honi Chahiye. Galat Dates Hone Par Lagta Hai Ki Aap Apne Pichhle Job Ya
Employment Ke Bare Me Kuchh Chhipana Chahte Hai. Jisse Hiring Manager Aap Par
Sandeh Kar Sakta Hai.
6. Long Education Timeline
Education Timeline Ko Chhota Rakhen. Isme School Ke Baad UG, PG
Ka Hi Jikr Karen Kyonki Kai Baar Aapki Naukri Ka Aadhar Academic Marks Nahi
Skills Hoti Hai.Har Subject Ke Marks Alag Se Likhne Ki Jarurat Nahi Hai.
7. Aspasht Layout
Kai Baar Resume Ko Alag Dikhane Ke Liye Layout Par Naye
Prayog Kiye Jate Hai, Jabki Esa Sirf Creative Profile Ke Liye Hi Kiya Jana
Chahiye. Jyada Prayog Karne Se Recruiter Ko Aapka Resume Samjhne Me Preshani
Hoti Hai.
Agar Aap Biodata Banate Wakt Upar Batai Gai Baton Dhyan Rakhenge To Aap Best Resume Bana Payenge Aur Recruiter Ka Dhyan Aapke Job Resume Ki Aur Khinch Sakte Hai. Agar Aap In Baton Ka Dhayn Rakhenge To Ye Aapko Job Pane Ne Madagar Ho Sakti Hai.
Ummid hai apko रिज्यूम बनाने का सरल तरीका pasand ayega.
Agar Aap Biodata Banate Wakt Upar Batai Gai Baton Dhyan Rakhenge To Aap Best Resume Bana Payenge Aur Recruiter Ka Dhyan Aapke Job Resume Ki Aur Khinch Sakte Hai. Agar Aap In Baton Ka Dhayn Rakhenge To Ye Aapko Job Pane Ne Madagar Ho Sakti Hai.
Ummid hai apko रिज्यूम बनाने का सरल तरीका pasand ayega.
PAN card was propelled to beware of the tax avoidance rehearsed by the people. All the monetary exchanges made by people can be connected by PAN card. PAN card gives numerous different points of interest to the general population. Some of them include: PAN cards are helpful for documenting IT returns. PAN cards are essential for purchasing or offering properties, vehicles and so on. Individuals are approached to submit PAN card points of interest for profiting advances from the banks. More info on pan card can be obtained from : apply new pan card
ReplyDelete